Market Movers
Monday 22nd Feb ko, investors ne market se 4.09 Trillion rs khoya hai. Market me listed companies ke market cap, kam hokar 199.96 Trillion Rs hua hai. Ye loss ke kuch global, aur kuch local reasons hai. Abhi 2021 me bahut saare IPOs aane waale hai. RailTel, Heranba etc. IPOs ke listing hona baaki hai. LIC IPO aane ka rasta saaf kiya jaa raha hai.Indian government privatization ke taraf bahut tezi se badh rahi hai, taaki conomicgrowth negative -8% se atleast ek respectable number par aaye. Lekin isi beech market agar lagataar crash hota raha to aage kya hoga? Iska jawab hume kuch factors study karne se milega.
Global Cues
Desh ka market, international market sentiments se acchi tareeke se juda hua hai. Kyun ki abhi duniya me open markets established ho chuke hain. Isi liye ek jagah agar market gire, specially nearby south east asian stock market, yaUS ka dow jones, to bahut bada impact India ke market pe bhi hota hai. Global market me low sentiments ka reason tha
1. Increased Bond Yield
2. Commodity market inflation
3. Inflated equity valuations
Iske wajah se markets pe aisa impact hua
1. Japan’s NIKKEI - +0.8%
2. South Korean Index: +0.1%
3. Chinese Blue CHips - 1.4%
4. S&P Futures - -1%
5. EUROSTOX 50 - -0.3%
6. FTSE - -0.7%
Europe aur US market ke is loss ka impact definitely Indian markets ko hua hai.
Government Bond Yields
India aur USA me bond yields lagatar upar ki taraf jaa rahe hai. Ye ek major reason hai ki euity market niche jaa raha hain. Bonds kya hain? Sarkar jab koi bada infra projects ke liye paisa raise karna chahti hai public se, tab ko bonds issue karti hai, jisme public aur banks paisa lagati hai. Lekin corona ke time pe Sarkar ke revenue source jab dry up ho gaye hain, to us waqt sarkar ko aur zyada paise ki zaroorat hai. Jab sarkar zyada paisa uthayegi market se, public se, to Bonds ka yield yaani interest rate badh jaata hain. Yahi hua hai India aur US mein jaha Bond Yields badh gaye hain. BOnd yields jab badhte hain to uska reverse effect hota hai equity markets par, aur wohi hua hain India ke equity market me.
Covid 19 is back
India ke maharashtra, Kerala jaise states me covid ke cases firse dekhe jaa rahe hain. Maharashtra me especially rapid rise ho raha hai, ye ek bahut bada reason hai market correction ka. Kyun ki agar covid 19 firse wapas aa gaya to fir manufacturing growth firse band ho jayega, aur lockdown lag gaya to fir demand firse kam hogi, economic groth aur niche jayegi, aur tab market ko crash hone se koi nahi bacha sakta.
Oil Prices
USA ke oil producing regions me ek massive winter storm aane ke wajah se production band ho gaya tha. Lekin lockdown khatam hone ke wajah se Oil ka demand badh raha hai, is wajah se crude oil prices bhi badh rahe hain. Brent crude and Us oil dono ke prices badh gaye hain, aur India me fule prices record level pe pahuch gaye hain. Sarkar isko Oil companies pe daal rahi hai, Oil companies chup hai, public ko lag raha hai ki sarkar apni zimmedari puri nahi kar rahi. Aur ye wajah hai desh ke andar mistrust create hone ka, aur confusion ka. Is confusion ka impact market par bhi aaya hai.
Valuation Concern
Indian market jis tareeke se pichle 1 saal me rally kiya hai, usse bahut saare companies ke valuations ko lekar experts me confusion hai. Experts ka ye kehna hai ki ye valuation kaafi high the, aur inka correction hona hi tha. Kyun ki investors ne profit booking kiya hai. Aur agar abhi ye profit booking nahi hota, to fir aane waale dino me market me aur bhi bada crash ho sakta tha.
F&O Expiry
Thursday yaani 5th Feb ko F&O expiry date hai, isi ke wajah se investors apna apna profit booking kar rahe hain, aur ye ek major reason hai market corrections ke
No comments:
Post a Comment